Mujhe Dil Ki Khataa Par Yaas Sharmana Nahin Aata
Paraya Jurm Apane Naam Likhavana Nahin Aata
Buraa Ho Paa-E-Sarkash Ka Ki Thak Jana Nahin Aata
Kabhi Gumraah Ho Kar Raah Par Aanaa Nahin Aata
[Paa-E-Sarkash=disobedient Feet]
Mujhe Ai Nakhuda Aakhir Kisi Ko Munh Dikhana Hai
Bahana Kar Ke Tanha Paar Utar Jana Nahin Aata
[Naakhudaa=boatsman]
Musibat Kaa Pahaad Aakhir Kisi Din Kat Hi Jaayega
Mujhe Sar Maar Kar Teshe Se Mar Jana Nahin Aata
[Teshe=axe]
Asiro Shauq-E-Aazaadi Mujhe Bhi Gudgudaata Hai
Magar Chaadar Se Baahar Paanv Phailaanaa Nahin Aata
[Asiro=prisoners]
Dil-E-Behausalaa Hai Ik Zaraa Si Tis Kaa Mehmaan
Vo Aansu Kyaa Piyegaa Jis Ko Gam Khaanaa Nahin Aata