Mujhay Neend Nahi Ati Hai Mujhay Aake Sulado
Ai Mere Dost Chalo Aaj Mujhay Merne Ki Duwa Do
Mujhay Apnoe Ke Rawayon Ne Maar Dala Hai
Ager Tum Dushman-E-Jaan Ho To Ab Aake Sada Do
Meine Tumse To Nahi Khushiyon Ke Khazane Mange
Me To Tarse Howee Hustee Hun Mujhay Sirf Hansa Do
Apne Khuabon Se Khayalon Se Pareshan Hun Bohat
Mere Hanton Ki Lakeeron Me Jo Likha Hai Mitado
Har Nayi Shab Ko Ye Aik Aas Laga Leti Hon
Dil Abke Khuwab Na Dekhay Ikuch Aisi Saza Do
Wo Aik Gohar-E-Nayaab Samajhta Hai Mujhay
Me Aik Pathar Hun Usse Jaaake Batado
Meri Awaz Me Larzish Hai Mere Qadmon Me Thakan
Ai Khuda Zist Ka Unwan Ka Ab Kuch To Pata Do