Mujhay Maloom Hai Tum Mujhko Aksar
Bhool Jatay Ho Haseen Shamon Mein
Ya Phir Kisi Asooda Saa’t Mein
Samander Ke Kinaray Baith Ker
Kaali Ghata Ke Raqs Mein
Ya Jhilmilati Chand Raaton Mein
Kisi Bhi Baat Pe Be-Sakhta Hanstay Huey
Ya Be Wajha Udasi Mein
Shehar Ki Ronaqon Mein
Be Sabab Bechainiyon Mein
Raat Ko Bistar Pe Yunhi Lait Ke
Kuch Soachtay Mein
Mujhay Maloom Hai Tum
Mujhko Aksar Bhool Jatay Ho
Tumhein In Unginat Kaamon
Mein Mera Yaad Aa Jana
Bohat Asan Nahin Shayed
Magar Dushwar Bhi Itna Nahin Hai
Ke Jitna Tum Samajhtay Ho
Magar Phir Bhi Mujhay Shikwa Nahin Tum Se
Mujhay Maloom Hai Tum
Mujhko Aksar Bhool Jatay Ho