Mujh Tak Tum Sagar Mat Karna Mai To Boond Ki Pyaasi Hun-Â…
Dekho Kaise Panghat Par Baithi Ek Abhilashi Huin.
Mujh Tak Tum Jwala Mat Karna Mai To Lau Ki Trasi Hun-Â…
Dekho Kaise Yagybhavan Main Ek Aarti Chasi Huin.
Mujh Tak Tum Duniyan Mat Karna Mai To Ghar Ki Aasi Hun-Â…
Dekho Kaise Rajmahal Main Rehti Ek Man Ki Daasi Hun.
Mujh Ko Tum Murat Mat Karna Main To Ek Jigyasi Hun-Â…
Manmandir Sushobhit Karne Aayi Ek Jeevan Prayasi Hun.
Mujh Ko Tum Darpan Mat Karna Main To Chavi Tumhari Hun-Â…
Amavas Ko Yaad Main Aaon Aisi Puranmashi Hun.
Mujh Ko Tum Jeevan Mat Karna Main To Bas Ek Saathi Hun-Â…
Har Roop Main Haath Pakadkar Manzil Raah Chalati Hun.
Mujh Se Tum Tulna Mat Karna Mai To Jag Mai Nyari Hun-Â…
Tum Sadhna Poori Kar Sako Kayi Tapasya Hari Hun.
Mujh Se Jo Sangram Tum Karna Durga Roop Mai Aati Hun-Â…
Maar Kaat Ke Sab Durgun Mai Tumko Nirmal Banati Hun.
Mujh Se Jo Tum Preet Rakhna Prem Ki Mai Adhikari Hun-Â…
Har Yug Main Aati Tum Saang Jeevan Sangharsh Mai Bhaagidaari Hun.
Meri Tum Jo Aaradhna Karna Man Mai Kutiya Mangti Hun-Â…
Dhyan Ke Do Phoolon Ki Mai Tumse Archna Chahti Hun.
Meri Tum Jo Bhakti Karna Neer Tript Mai Bahati Hun-Â…
Antarmaan Mai Dhoond Rahi Tumko Main Bhi Meera Bhanti Hun.
Mujh Tak Tum Sagar Mat Karna Mai To Boond Ki Pyaasi Hun-Â…
Dekho Kaise Panghat Par Baithi Ek Abhilashi Huin.