Mujh Se Cheen Kar Tune Ke Pardesi Meri Zabaan
Katl Kar Diya Bakhubi Se Mere Andar Ka Insaan
Ab Meri Qaum Itrati Hai Teri Boli Ke Talaffus Par
Sharmsaz Se Dikhti Hai Kabhi Anjaan Alfazo Ke Luknat Par
Han Waqi Hum Khudi Se Kitne Dur Hogaye
Bhes Badla Itna Ke Asal Surat Se Lashahur Ho Gaye
Ab Na Soche Apni Hai Na Apni Zaban
Hum Mashriqi Itrate Hain Lekar Maghribi Pehchan
Main Apne Mulk Main Anjaano Ko Pata Hun
Hum Watni Shayad Sub Pardesi Ho Gaye