Mujh Par Teri Maujoodgi Ka Yeh Asar Huwa,
Dekha Jo Tera Husn To Aashufta-Sar Huwa.
Aashufta-Sar=insane
Kehta Hai Mera Dost Kya Hai Yeh Silsile,
Mein Tera Dost Na Hua Koi Naambar Huwa.
Naambar=dakiya/post Man.
Jaaye Kahan Ke Aab To Jawaani Nahi Rahi.
Teri Hi Aarzoo Mein Khatm Yeh Safar Huwa.
Ek Baar Humne Bazm Mein Unpar Jo Ki Nigah,
Itni Si Baat Ka To Gila Umr Bhar Huwa.
Sab Kuch Loota Ke Bhi Na Huee Teri Inaayat,
Yeh Aakhri Kalaam Bhi Teri Nazar Huwa.
Subha Ka Pehla Phool Saja Unki Zulf Mein,
Dil Par Mere Bhi Zakham Ek Taaza-Tar Huwa.
Taaza-Tar=fresh
Dil Se Sukhan Ki Badgumaani Door Kar Talib
Tu Nauo-Amoz Na Hua Meer-O-Zafar Huwa?