Mujh Ko Mamta Wo Yaad Aati Hai,
Mera Bachpan Wo Yaad Aata Hai,
Mera Babul Jhulata Bhahon Mein,
Sara Bachpan Wo Yaad Aata Hai,
Mujh Ko Banhon Mein Wo Jhulate Tha,
Khud Ko Jhula Mera Bnataa Tha,
Mujhko Mamta Wo Yaad Aati Hai,
Roz Yaadein Mujhe Satati Hai,
Aankhe Sawan Bnake Jati Hai,
Yaadein Bachpan Ki Mujhe Stati Hai,
Yaadein Bachpan Ki Mujhe Stati Hai…
Mere Bhai Or Meri Behne,
Mere Maan Baap Ke The Sab Gehne,
Kitna Pyara Wo Zamana Tha,
Aaj Ye Daur Kesa Aya Khuda,
Sare Bichad Kar Dur Bhethe Hai,
Apni-Apni Kahani Ye Kehte Hai,
Door Bethe Sabhi Khushi Se Hai,
Bhul Bhethe Hai Mamta Babul Ko,
Yaadein Bachpan Ki Mujhe Stati Hai…
Meri Behne Kitni Pyari Hai,
Karti Wo Pyar Aaj Bhi Kitna,
Mere Babul Ki Ye Kahani Thi,
Chaar Din Ki Wo Zindgani Thi,
Mere Babul Ki Ye Kahani Thi,
Kabhi Un Ki Bhi To Jwani Thi,
Ham Ko Bhi Ayega Budhapa Jab,
Yaad Ayega Unka Saaya Tab,
Yaadein Bachpan Ki Mujhe Stati Hai…
Hai Abhi Waqt Tum Sambhal Jao,
Unko Nazdeek Apne Le Aao,
Baad Mein Fir Tum Na Pachtana,
Jab Karenge Tumhare Saath Yehi,
Jo Tumhari Nazar Ke Tare Hai,
Pyar Maan-Baap Ko Karo Sab Tum,
Apni Akhraat Ko Sawanro Tum,
Maafi Mowla Se Manglo Sab Tum.
Yaadein Bachpan Ki Mujhe Stati Hai…

By Hameeda Ameer