Mujh Ko Anjaanaa Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Ek Afsaanah Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Gair Ke Waastey Dar Par Kharhey Ho Dahroun Se
Us Ko Durdaanah Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Bahr Ke Ek Kinaarey Kharhaa Hua Hoon Main
Mauj Ko Aanaa Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Ye Meraa Ghar Hai Tumhaaraa Bhi Hai Azal Sey Hai
Is Ko Tahkhaanah Samajhtey Ho Ye Kyaa Kartey Ho
Ajnabee Hongey Magar Hain To Wo Ahbaab-O-Aziiz
Un Ko Beygaanah Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Yeh Suroor-O-Khumaar Zindagee Key Pahloo Hain
Jaag So Jaanaa Samajh Tey Ho Ye Kya Kartey Ho
Ye Meaa Dil Hai Koyee Khaak Ka Paimaanah Naheen
Is Ko Weeraanah Samajhtey Ho Ye Kya Kartey Ho
Ye Nashah Meyraa May-E-Chashm Saa Shaayistah Hai
Is Ko ‘Kho Jaanaa’ Samajhtey Ho Ye Kyaa Kartey Ho
Koochah-E-Yaar Hai Yeh Larhkharhaa Rahaa Hoon Mein
Rind Mastaanah Samajhtey Ho Ye Kyaa Kartey Ho
Main Khum-Ae-Sharbat-E-Kousar Hoon Aab-E-Khizra Abd
Mujh Ko Maykhaanah Samajhtey Ho Ye Kyaa Kartey Ho