Muddat Hui Kisi Se Laraai Nahin Hui
A’rse Se Buz Dilon Ki Pitaai Nahin Hui.
Baithe Hain Chhup Ke Teer O Kaman Leke Fitna Saaz,
Ham Ko Udher-Bun Ki Salaai Nahin Hui.
Ham Khaali Haath Ho Ke Bhi Maidaan Men Rahe,
Ham Se Zabar Kisi Ki Kalaai Nahin Hui.
Gulshan Men Ghaas-Phons Panapne Lagi Bohot,
Kab Se Yahan Pe Koii Safaai Nahin Hui
Woh Sheer-E-Gaaomeesh Hain Pee Kar Bare Huye,
Aql O Khirad Ki Un Se Baraai Nahin Hui.
Jeene Na Den Kisi Ko Agar Un Ka Bas Chale,
Achha Huaa Ke Un Ki Khudaaii Nahin Huii.
Ham Saaf Saaf Kehte Hain Munh Tor Munh Pe Baat,
Peechhe Kisi Ke Ham Se Buraaii Nahin Hui.
Uljhan Men Zulf-E-Yaar Ki Uljhi Rahi Nazar,
Suljhai Zulf Laakh, Rihaai Nahin Hui.
Woh Baat Kya Ke Jis Ka Na Matlab Nikal Sake,
Woh Doodh Kya Ke Jis Pa Malaaii Nahin Huii.
Aashiq Mizaaj, Dil Hai Baraa, Shaae’raana Fikr,
Hain Dar Ba Dar Pa Ham Se Gedaaii Nahin Huii.
Khaamosh Bazm-E-Khair Se Jaate Hain Khaali Haath,
Be Daad Aaj Koii Kamaaii Nahin Huii.
“Haider” Nigaah-E-Bad Se Ye Kaavish Bachi Rahi,
Is Par Kisi Tarah Ki Tavaaii Nahin Huii.