Muddat Huee Hai Yaar Ko Mehmaan Kiye Hue
Josh-E-Qadah Se Bazm Chiraaghaan Kiye Hue
Karta Hoon Jama’a Fir Jigar-E-Lakht-Lakht Ko
Arsa Hua Hai Daawat-E-Mizhgaan Kiye Hue
Fir Waza-E-Ehtiyaat Se Rukane Laga Hai Dam
Barson Hue Hain Chaak Girebaan Kiye Hue
Fir Garm Naala Haay Sharar,Baar Hai Nafas
Muddat Huee Hai Saire Chiraaghaan Kiye Hue
Fir Pursishe Jaraahate Dil Ko Chala Hai Ishq
Saamaan E Sad Hazaar Namakdaan Kiye Hue
Fir Bhar Raha Hai Khaama E Mizhgaan Ba Khoon-E-Dil
Saaz-E-Chamantaraazee-E-Daamaan Kiye Hue
Baa Ham Digar Hue Hain Dil-O-Deeda Fir Raqeeb
Nazzaara-O-Khayaal Ka Saamaan Kiye Hue
Dil Fir Tawaaf-E-Koo-E-Malaamat Ko Jaai Hai
Pindaar Ka Saman Kada Weeraan Kiye Hue
Fir Shauq Kar Raha Hai Khareedaar Kee Talab
Arz-E-Mata A-E- Aql-O-Dil-O-Jaan Kiye Hue
Daude Hai Fir Harek Gul-O-Laala Par Khayaal
Sad Gul Sitaan Nigaah Ka Saamaan Kiye Hue
Fir Chaahta Hoon Naama-E-Dildaar Kholna
Jaan Nazr-E-Dil Farebee-E-Unwaan Kiye Hue
Maange Hai Fir Kisee Ko Lab-E-Baam Par Hawas
Zulf-E-Siyaah Rukh Pe Pareshaan Kiye Hue
Chaahe Fir Kisee Ko Muqaabil Mein Aarzoo
Soorme Se Tez Dashna-E-Mizhgaan Kiye Hue
Ik Nau Bahaar-E-Naaz Ko Taaqe Hai Fir Nigaah
Chehra Furogh-E-Mai Se Gulistaan Kiye Hue
Fir Jee Mein Hai Ki Dar Pe Kisee Ke Pade Rahain
Sar Zar-E-Baar-E-Minnat-E-Darbaan Kiye Hue
Jee Dhoondta Hai Fir Wohee Fursat Ke Raat Din
Baithe Rahain Tasavvur-E-Jaanaan Kiye Hue
‘Ghalib’ Hamein Na Ched Ki Fir Josh-E-Ashq Se
Baithe Hain Ham Tahayya-E-Toofaan Kiay Hue