Muddat Beet Gayi,Humare Honth Hai Aaj Bhi Sile Hue
Kal Hi Bichade The,Par Laga Jaise Sadiya Beet Gayi Hai Mile Hue
Jab Milta Hoon Unse To Sochta Hoon Apne Dil Ki Baat Keh Doon
Par Jab Bhi Lab Khule,Dono Taraf Se Sirf Shikayate Aur Gile Hue
Ek Umang Si Thi Dil Mein Ke Woh Hume Kabhi Gale Lagayenge
Aaj Gale Lagaya Bhi To Usne Alwida Kehne Ke Liye
Khoob Inaam Hai Hume Mohabbat Mein Mile Hue
Kya Kahoon Apni Kismat Ke Baare Mein,Main Khwaish
Kaanto Se Bhar Gaye The Pair Mere
Yeh Dekh Kar Pucha Har Shaks Ne
Yeh Kaanto Ke Zakhm Pairo Par Kaise
Jab Ki Teri Raahon Mein The Sirf Phool Hi Khile Hue
“Khwaish” Ki Aankhon Mein Eh Dost
Kabhi Utar Kar Dekhna Zara
Toote Hue Sapne,Bikhre Hue Khwaishe
Tadapte Hue Aansu Hi Milenge Tujhe
In Aankhon Mein Dard Ke Saath Mile Hue
Aur Kuch Na Keh Sakoonga Main Tujhe Eh Dost
Aaj Likhte Hue Kalam Ne Bhi Mujhe Thaam Kar Kahan
“Na Likh Ab Khwaish Apne Dard Ki Dastaan
Dekh Tere Ashko Se Aaj Kaagaz Bhi Gile Hue