Mudaton Baad Dil-E-Zadgan Nay
Aik Purkaif Sa Unwan Chunna
Apnay Ander Khudi Kay Dhagay Say
Aam Sa Khak Ka Bhagwan Buna
Jo Keh Teray Jahan-E-Faani Main
Misl-E-Mamool Jiya Karta Hay
Aur Iss Roz O Shab Ke Jhagray Main
Sans Per Sans Siya Karta Hay
Sad Shuker Teray Kar-E-Hikmat Main
Meray Yazdan Kay Khailnay Kaliye
Juz Teri Dehshat-O-Khashonat Kay
Dair Andhair Ki Taweel To Hay
Aur Iqrar-E-Bar-E-Ulfat Ho
Kh Mera Eeshwer Behalnay Ko
Makhmaleein Jawidan Usoolon Main
Nerg Suwerg Ki Tashkeel To Hay
Haan Mager Meri Guftani Kay Bajuz
Yaan To Abb Bhi Jiya Jata Hay
Tujh Ko Tasleem Kiya Jata Hay
Shayad Iss Behas Kay Ramooz Kay Paar
Aik Aami Hai Jo Keh Abb Bhi Roz
Teray Waidon Kay Gupt Marqad Per
Ik Siyah Phool Charha Ata Hay