Mudad Ke Baad Aaj Phir Se Humne Sharab Ki Bottle Ko Haath Lagaya Hai,
Dil Ko Haqiqat Se Door Ek Naya Sapna Dikhaya Hai,
Nashe Me Kitni Rangeen Ban Gayi Hai Zindagi Humari,
Jab Udasi Ke Payale Me Sharab Ki Do Bondon Ko Milaya Hai,

Ankhon Ki Nami Sukh Kar Aa Gayi Muskurahat Chehere Pe,
Yuh Laga Jaise Sharab Ne Gum Ko Behene Ka Ek Naya Rasta Batlaya Hai,
Apno Ne Diya Hume Gumon Ke Sholey Yaha,
Ek Sharab Hi Apni Nikli, Jisne Is Aag Ko Bujaya Hai,
Jane Kyu Log Kehte Hai Sharab Buri Cheez Hai, Mat Piyo,
Jab Ke Issi Ke Sahare Ne Hume Gum-E-Zindagi Bhulaya Hai!