Mud Ke Dekha Jo Meine To Hairaan Reh Gaya
Ke Insaan Aaj Sab Siwa Insaan Reh Ho Gaya
Ek Jhooth Se Bhar Pet Usse Rizq Mil Gaya
Phate Note Sa Jeb Mein Imaan Reh Gaya
Wade Ko Apne Tune Kiya Tarq Iss Liye
Ghar Bante Bante Mera Makaan Reh Gaya
Neta Nahi Pata Taqreeron Se Koi Vote
Uska Sahara Geeta-O-Quran Reh Gaya
Tauba Yeh Chalte Log, Yeh Shor, Yeh Dhuan
Paane Ko Sukoon Bass Ab Shamshaan Reh Gaya
Tere Darr Par Khada Tha Mein, Mere Dar Par Khadi Thi Maut
Kaun Haasil Kise Karen, Yeh Imtehaan Reh Gaya
Khuli Thi Aankh Meri Zakhm Ke Jalne Se Yak-A-Yak
Ujlat-E-Chaaragar Sirhane Namakdaan Reh Gaya
Dil Se Nigaah Tak Nigaah Se Gayee Dil Tak
Baat Ko Tarastaa Kucha-E-Zubaan Reh Gaya
Talib Ummed Na Hogi Unki Inaayat
Woh Meherbaan Kya Ho, Jo Khud Pe Meherbaan Reh Gaya