Mosum Ki Tarah Janey Kyun Kuch Log Badal Gaye
Ab Sarey Mosum Dil Ke Janey Kyun Khizan Ho Gaye
Ajeeb Se Dasht_O_Sehra Mein Bhatak Rahe Hein Hum
Seraab Ho Ke Samundar Se Janey Kyun Pyasey Ho Gaye
Jalti Houi Rait Mein Nangey Paoon Chaltein Hein Ab Toh Hum
Tapti Houi Dhoop Mein Janey Kyub Besaibaan Ho Gaye
Bar Mudat Ke Baad Ik Roshni Ki Chamak Joh Mil Thi Humein
Wo Chandi Ki Roshni Wo Tarey Sub Janey Kyun Andhera Ho Gaye
Meri Mohabat Ko Na Karey Ga Shumaar Wo Kabi Apni Zindagi Mein
Hum Oss Ajnabi Ke Pyar Mein Janey Kyun Dewaney Ho Gaye
Koi Malal Na Koi Yaad Baqi Rahi Hai Ab Dil Mein Humarey
Oss Ko Tamam Yadein Lota Kar Janey Kyun Jaan Se Gaye
Guzrey Dinoon Ki Chand Yadoon Ko Be Ajj Hum Ne Dafun Kar Diya
Aur Sub Kuch Bhoola Kar Hum Bi Janey Kyun Ajnabi Ho Gaye
Humein Ab Na Pukarna Phir Se Ae Dosto Kabi
Iss Bewafa Duniya Mein Reh Kar Janey Kyun Hum Be Bewafa Ho Gaye
Bahaar Phir Se Na Ayegi Ab Iss Ujrey Houey Chaman Mein
Phuloon Ke Khilney Ke Janey Kyun Wo Sarey Mosum Beet Gaye