Mosam-E-Gham Ki Umeed Hai Zindagi Ki Baharoon Mein
Hum Abla-Pa Musafir Hoon Ge Dard Ke Sehra-On Mein
Asaan Nahi Hai Dosti-O-Mohabat Nibhana Kisi Se
Bohat Kuch Sehna Padta Hai In Rahoon Mein
Tamam Shab Dast-E-Dua Buland Raha Tere Liye
Phir Bhi To Kho Gaya Duniya Ke Jhameloon Mein
Ek Chehra Jo Na Kabhi Dekha Hum Ne Kahein Bhi
Usi Ko Chahti Hain Ankhein In Hazaroon Mein
Kya Hai Qismat Mein’ Kya Hai Naseeb Apna Shah
Hum To Bhatak Rahe Hain Zeest Ke Andheroon Mein