Moonh Pher Loon Main Apne Humsafar Se
Sooraj Kahin Khafaa Hota Hai Sahar Se
Itne Gam Baitthe The Mere Aangan Mein
Khushi Nikli Hai Ghabraa Ke Mere Ghar Se
Kyon Sanam Ko Main Qayamat Kehta Hun
Aa Ke Dekho Tum Unhe Meri Nazar Se
Gair Ne Pee Ke Paimaane Mein Chorr Di
Aur Hum Zindagi Bhar Aik Boond Ko Tarse
Aankhen Poochhun Ya Rakhun Haath Dil Par
Zakhm Saara Badan Chhupaun Kidhar-Kidhar Se
Aur Bhi Hain Panne Is Kitaab-E-Zindagi Mein
Abhi Hasnaa Na Chhorriye Rone Ke Darr Se
Bhari Mehfil Mein Usne Kya-Kya Sunaa Diya
Keh Baittha Main Unse Teen Lafz Mukhtsar Se