Moj-E-Zan Rakhta Hai Kitne Hi Samander Mujh Mein
Aik Ansoo Ke Jo Rehta Hai Seemat Ker Mujh Mein
Shab-E-Tareeq Houn Mein ,Roshniyaan Bhar Mujh Mein
Utar A Ban Ke Kabhi Mah-E-Munawar Mujh Mein
Mujh Ko Kuch Eelm Nahin Is Ka Sabab Kia Hai Magar
Aik Kohram Sa Barpa Hai Barabar Mujh Mein
Munsab-O-Jaan Ki Khowahish Hai Na Shohrat Ki Talab
Ho Gaya Jaise Maqee’n Koi Qalander Mujh Mein
Be Sada Jis Ki Judaee Ne Kiya Hai Mujh Ko
Bolta Rehta Hai Ab Bhi Kaheen Ander Mujh Mein
Moujza Ye Bhi Tujhe Dheeyan Mein La Nay Se Hua
Zam Hua Hai Jo Tera Chand Sa Paikar Mujh Mein
Muntazir Houn Ke Ye Deewar-E-Badan Gir Jaye
Ya Phir Aisa Ho Ke,Khul Jaiye Koi Dar Mujh Mein
Mere Zarkhair Tasavor Ki Inayat Hai Naseem
Har Ghari Hote Hain Zinda Naye Manzar Mujh Mein”