Mohobbat Ki Raaho Me Kadam Dar Kadam Ladkhada Rahe Hain
Fir Bhi Dekho Ham Muskura Rahe Hain
Dekhne Wale Kehte Hain Hamse Ki Ham Kitne Khush Hain
Naadan Hain Wo Jo Nahi Jaante Ham To Bas Apna Gam Chupa Rahe Hain
Wo Tha Paas To Jaise Jannat Sa Mujhe Ye Jahan Lagta Tha
Par Ab Sirf Ham Tanhaiyon Se Hi Dil Ko Behla Rahe Hain
Duniya Ki Bheed Mei Hamne Hamesha Khud Ko Tanha Hi Paya
Isliye Chand Sang Aap Beeti Suna Rahe Hain
Likhne Wale Tune Kyu Na Koi Hamara Na Likha
Ham Begano Ki Bheed Mei Bas Tanha Hi Jiye Jaa Rahe Hain
Waqt Ret Ki Tarah Haatho Se Fisalta Hi Chala Gaya
Aur Ham Beth Saahil Par Hi Dube Jaa Rahe Hain