Mohabbat Mein Mohabbat Ki Safaii De Rahe Hein Ham
Ajab Aashiq Hein, Uzr-E-Aashnaii De Rahe Hein Ham
Hamare Haal Per Janaan Bohat Khush-Fahem Mat Hona
Dikhaane Ke Liye Aisay Dikhaaii De Rahe Hein Ham

Koyee Tuhfaa Tumhein Dena To Tha Apni Mohabbat Ka
Tumein Lo, Aaj Zakhm-E-Aashnaii De Rahe Hein Ham
Hamare Rat-Jagon Ka Tum Ko Kuch Ehsaas To Ho Ga
Dam-E-Rukhsat, Tumhein Shaam-E-Judaaii De Rahe Hein Ham
Jinhein Khoon-E-Jigar Se Paish Ro Tehreer Karte Thay
Ab Un Lafzon Ko Dil Ko Roushnaaii De Rahe Hein Ham
Ham Itnay Shour Mein Sab Se Mukhatib Bhi Nahin ‘Nida’
Jo Sun Saktay Hein Bas Un Ko Sunaaii De Rahe Hein Ham