Mohabbat Ke Zamane Mein,
Ranj-O-Gam Ke Aane Jane Mein,
Har Simt Tamasha Hi Hota Hai,
Kabhi Berukhi Ke Aanchal Mein,
Shokh Jazbe Dabte Hai,
Kabhi Muskurate Chehron Par,
Ekdam Aansu Chhalakte Hai,
In Bhigi Bhigi Aankhon Mein,
Wo Khwab Nazar Aate Hai,
Jin Khwabon Ki Tabeeron Par,
Ek Umar Guzra Karti Hai,
Ghar Shamma Roshan Ho Jaye,
To Zindagi Bas Ho Jaye,
Kuch Asie Sapne Rakhte Hai,
Aur Socho!!! Gar In Sapno Ko
Koi Nazar Jo Lag Jaye,
To Yehi Sapne Phir Ek Din,
Aankhon Mein Chubhne Lagte Hai,
Kuch Kar Lo, Kuch Bhi Kar Lo Tum,
Ye Tamasha To Hota Hai,
Aisa Tamasha To Hota Hai,
Mohabbat Ke Zamane Mein,
Har Simt Tamasha Hi To Hota Hai