Mohabbat Ke Bad Hath Ki Lakeer Daikh Kar
Dil Jal Utha Ha Khawab Ki Tabeer Daikh Kar
Hum Na Dil Main Is Liay Pathar Basa Liay
Taj Mahal Ki Dilkash Tameer Daikh Kar
Mari Hi Muntzir Hain Ya B Gardshain
Ya Asman Sa Utarti Hain Takdeer Daikh Kar
Mudat Bad Dil Pa Rakha Ha Hum Na Hath
Kagaz Pa Taray Hath Ki Tahreer Daikh Kar
Ahl Karam Na Apnay Khizanay Lota Diay
Waqt Ka Mara Dil Ka Ameer Daikh Kar
Kismat K Maray Janay Kiun Chal Diay Udhar
Manzil B Dour Ho Gai Rahgeer Daikh Kar
Logon Na Apnay Poun Main Zanjeer Dal Li
Tari Zulf Ka Hua Aseer Daikh Kar
Dil Ab B Chahta Ha Tumhi Par Nisar Ho
Takhiyal Sa Kahin Haseen Tari Tasveer Daikh Kar
Gee Chahta Ha Ghar Sa Kahin Dour Nikal Parin
Ishtiaq Itnay Saray Masail Ghambeer Daikh Kar
Poet=syed Ishtiaq Hussain Kazmi
Book=ik Yadoon Ka Safar Ik Yadoon Ka Gham.