Mohabbat Hi Nahi Hai Zindagi Ka Aakhri Maqsad
Mohabbat Aag Hai Jo Zindagi Ko Raakh Karti Hai
Bahati Hai Samandar Mein Hamari Zindagani Ko
Urati Hai Hawaon Mein Hamari Har Kahani Ko
Jalati Hai Hamari Zindagi Ke Sab Saheefon Ko
Giradeti Hai Humko Phir Kisi Fanoos Ki Manend
Tarapne Ke Sabhi Manzar Taher Ke Dekha Karti Hai
Judai Ke Sabhi Lamhon Mein Hamare Saath Hoti Hai
Dikhati Hai In Aankhon Ko Naye Kuch Khwaab Yeh Phir Se
Sarabon Ke Sab Hi Sapne Hamari Oar Karti Hai
Labon Ko Ek Nayee Boli Bhi Phir Yeh Daan Karti Hai
Nigahon Mein Naye Sapne Sama Kar Shaad Karti Hai
Zehen Ko Aagahi Ke Dard Se Abaad Karti Hai
Agar Tum Bhaagna Chaho, Agar Tum Lautna Chaho
Tu Yaadon Ke Parindon Ko Hamare Saath Karti Hai
Mohabbat Hi Nahi Hai Zindagi Ka Aakhri Maqsad
Mohabbat Aag Hai Jo Zindagi Ko Raakh Karti Hai