Miltee Hain Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Naa Miltee Ho Raahat ‘Azaab Mein
[ Khoo-E-Yaar = Lover’s Nature/behavior/habit, Naar = Fire,
Iltihaab = Flame, ‘Azaab = Sorrow ]
Kab Se Hoon, Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharaab Mein ?
Shab Haaye Hijr Ko Bhii Rakhoon Gar Hisaab Mein
[ Jahaan-E-Kharaab = World Of Problems, Shab = Night,
Hijr = Separation ]
Taa Fir Naa Intezaar Mein Neend Aaye ‘Umr Bhar
Aane Kaa ‘Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein
[ Taa = So That, ‘Ahad = Promise ]
Qaasid Ke Aate-Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein
[ Qaasid = Messenger ]
Mujh Tak Kab Unkee Bazm Mein Aata Tha Daur-E-Jaam
Saaqee Ne Kuchch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein
[ Bazm = Meeting/”Mehafil”, Saaqee = Bar Tender ]
Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Us Pe Kya Chale ?
Kyoon Badghumaan Hoon Dost Se Dushman Ke Baab Mein ?
[ Munkir-E-Wafa = One Who Denies Loyalty, Fareb = Illusion/fraud
Badghumaan = Suspicious, Baab = Company ]
Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tumko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein
[ Muztarib = Anxious/disturbed, Wasl = Meeting With The Lover,
Khauf = Fear, Raqeeb = Opponent, Pech-O-Taab = Predicament ]
Mai Aur Haz’z-E-Wasl, Khudaa_saaz Baat Hai
Jaan Nazr Denee Bhool Gaya Iztiraab Mein
[ Mai = Bar, Haz’z-E-Wasl = Joy Of Meeting, Khudaa_saaz = God’s Gift,
Iztiraab = Anxiety ]
Hain Tevaree Chadee Huee Andar Naqaab Ke
Hain Ik Shikan Padee Huee Tarf-E-Naqaab Mein
[ Shikan = Wrinkle, Tarf = Eyelid ]
Laakhaun Lagaav, Ik Churaana Nigaah Kaa
Laakhaun Banaav, Ik Bigaadna Itaab Mein
[ Itaab = Anger ]
Woh Naala_dil Mein Khas Ke Baraabar Jagah Naa Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pade Aaftaab Mein
[ Naala_dil = Crying Heart, Khas = Hay/grass, Shigaaf = Crack,
Aaftaab = Sun/face ]
Woh Sehar Muddaa Talbee Mein Naa Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein
[ Sehar = Magic, Muddaa Talbee = Fulfillment Of A Desire,
Safina = Boat, Ravaan = Move, Saraab = Mirage ]
Ghalib Chutee Sharaab, Par Ab Bhee Kabhee-Kabhee
Peeta Hoon Roz-E-Abr -O- Shab-E-Maahtaab Mein
[ Abr = Clouds, Roz-E-Abr = Cloudy Day, Maahtaab = Moon ]