Milte Rehte Hain Gum Phir Bhi Kyun Utha Rahi Thi Zindagi,
Gum Ke Bazaar Mein Kyu,Tamasha Bana Rahi Thi Zindagi,
Mayoosi Se Bhari Aankhen Dekhti Reh Gayi Sitam Tere Ye,
Hota Nahi Koi Bhi Kisi Ka,Ye Baat Samjha Rahi Thi Zindagi,
Aakhir Kyun Ghabragaya Woh Aaj Yun Badtamizi Se Meri,
Raste Badal Badal Kar,Sharafat Uski Gira Rahi Thi Zindagi,
Rota Hai Kaise Dil Toot Ke Aa Tu Bhi Aazma Ke Dekh Zara,
Roti Ahen Ghum Ke Seene Mein,Ye Bata Rahi Thii Zindagi,
Na Kar Paayi Koyi Khushi Mujh Ko Mukammal Kabhi Bhi,
Thi Meri Badkismati,Khamoshi Se Bata Rahi Thii Zindagi,
Kuch Bhi Na Keh Saka Ishara Kar Raha Tha Ab ‘Abrar’ Bhi,
Chupke Se Jane Kyun Nayee Umeed Jaga Rahi Thi Zindagi,
Milte Rehte Hain Gum Phir Bhi Kyun Utha Rahi Thi Zindagi,
Gum Ke Bazaar Mein Kyu,Tamasha Bana Rahi Thi Zindagi…