Milan Ki Chah Mai Joodai Ka Apna Hai Maza
Ye Baat Aur Hai Ki Sab Mane Isey Ek Saja
Milan Ke Nashe Se Bhi Bara Joodai Ka Nasha
Eske Utarney Ki Adda Ka Nahi Hai Koi Pata
Khoya Rahata Hai Jab Mun Kisi Ki Joodai Mai
Hur Chehrey Mai Vahi Chehra Nazar Aata Hai
Ho Akela Yaa Phir Mehphil Mai
Dil Hai Ki Bus Unke Karib Rahta Hai
Hai Milan Mey Maza To Ismey Bekarari Hai
Voh Subah Hai, Yeh Raat Ghani Kali Hai
Pyaar Ki Raah Ke Hai Yeh Musafir Assey
Ek Bhi Naho Toh Voh Safar Adhura Hai
Eska Daman Hai Sagar Ki Lahro Jessa
Milan Ki Aasha Ke Motiyo Ka Hai Jismey Dera
Yuto Dikti Nahi Iski Koyi Thah(Depth) Phir Bhi
Har Kinarey Pur Diktaa Hai Milan Ka Savera