Mila Anjaab Naa Kahani Ko
Barbaad Kar Betha Hoon Jawani Ko
Seenay Say Lagai Phirta Hoon
Yaar Ki Aakhri Nishaani Ko
Woh Naa Hoti Tu Main Kahan Hota
Zarra Hota Na Aasmaan Hota
Woh Hii Duniyadaari Ke Jaghray Hotay
Woh Hii Be-Rozgaari Ka Samman Hota
Aye Kaash K Woh Ba-Wafa Hota
Yahan Makaam Kuch Judda Hota
Main Roo Deta Hoon Is Khayal Par
Woh Jo Meri Hoti Tu Kya Hota
Us K Ghum Main Khoye Rehtay Hain
Khuli Aankhon Say Soye Rehtay Hain
Girtay Hain Pakhoon Say Aansoon Aisey
Ke Apna Daman Bhegoye Rehtay Hain
Jab Kabhi Khud Ko Tanha Pata Hoon
Ekk Tasveer Zehan Main Banata Hoon
Kar Ke Band Bheegi Palkoon Ko
Us Kii Yaadon Main Doob Jata Hoon
Kaisey Keh Doon Ke Woh Paraya Hain
Usi Nay Tu Jeena Sekhaya Hain
Hai Usi Ke Naam Say Yeh Shairi
Yeh ‘Mohsin’ Usi Nay Banaya Hain
Woh Pari Tu Meelon Door Hain
Haan Us Kii Aarzoo Zaroor Hain