Meyree Galtee Hai: Deykha Naheen Bhar Nazar!
Saath Waaiz Key Tha! Saaqiyaa, Gum Na Kar!!
Teyrey Raham-O-Karam Sey Mujallaa Hoon Mein!
Too Ney Feiree Nazar: Jaaungaa Mein Guzar!!
Raat-Din Saath Rahtaa Hoon Teyrey: Samajh!
Sangsaaree Kareyngey, Yeh Sangeen Jigar!!
Jaantee Hai Too: Aayeen-E-Yeemaan Hain Yeh!
Bach Key Rahnaa Hai In Sey Hamain, Umra Bhar!!
Teyrey Pahloo Mein Rahney Ko Beytaab Hain:
Dour-E-Shab Zaahid-O-Sheikh, Chhup Kar Magar!
Dilnasheen, Maykadey Din Mein Aaungaa Mein:
Din Mein, Rahtaa Naheen Hai Mujhey Un Kaa Dar!
Jinkaa Yeemaan, Pardoun Kaa Paaband Hai:
Woh Na Aayengey Yoon, Roshanee Mein Idhar!
Mein Gunahgaar Hoon: Maaf Kar Dey Mujhey!
Baad Din Key, Na Aaungaa Ab Teyrey Ghar!!
Neikwakhtee Kaa Qaayal Hoon Mein, Jaan-E-Jaan!
Shaad Ba-Zouq Rah: Itnaa Ehsaan Kar!!
Subah Beemaar Thee! Do-Pahar Hai Jawaan!!
Koyi Tujh-Saa Naheen Hai Kaheen Chaaraagar?
Khoob Too Ney Diyaa Hai Mujhey, Saaqiyaa!
Khatm Hogaa Naheen; Khatm Hogee Umar!!
Too Hai Mein; Mein Hoon Too; Ham To Ham Hain! ‘Abd’,
Hashra Mein Bhi, Akeiley Na Hogaa Safar!!’