Mery Hi Nafs Mery Hi Humnawa,Mujhy Dost Ban Ke Dagha Na De
Mein Hoon Dard-E-Ishq Se Jaan Blub,Mujhy Zindagi Ki Duwa Na De
Mein Ghum-E-Jahan Se Nidhal Hoon Ke Sarapa Hazan O Malal Hoon
Jo Likhy Hain Mery Naseeb Mein,Woo Alam Kisi Ko Khuda Na De
Mein Khayal O Wehem Se Door Hoon,Mujhy Ajj Koi Sada Na Dee
Mery Ghar Se Door Hain Rahateen,Mujhy Dhondhti Hain Musibateen
Mujhy Khoof Yeh Hai Ke Mera Pata,Koi Gardishoo Ko Bata Na Dee
Mujhy Chor De Mery Haal Par Tera Kia Bharosa Aye Chara Gar
Teri Yeh Nawazish E Mukhtasar Mera Dard Aur Barha Na Dee
Mera Azam Itna Buland Hai Ke Paraye Sholon Ka Dar Nahi
Mujhy Khoof Atish-E-Gul Se Hai Ke Yahi Chaman Ko Jala Na Dee
Mery Dagh-E-Dil Se Hai Roshni,Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhy Khood Hai Mery Charagar ,Yeh Charagh To Hi Buja Na Dee
Meri Chasmy Ishq Tera Bharam,Rahe Umar Bhar Yoon Hi Taza Dam
Na Pukar Oss Ke Woo Sanam,Kaheen Jal Ke Jalwa Dikha Na De
Woo Uthy Hain Lye Ke Kham O Subo,Ary Aye Sahil Kaha Hai To
Tera Jaam Leny Ko Bazam Mein Koi Aur Hath Barha Na De