Merii Terii Nigaah Mein Jo Laakh Intazaar Hain
Jo Mere Tere Tan Badan Mein Laakh Dil Figaar Hain
Jo Merii Terii Ungaliyon Kii Behisii Se Sab Qalam Nazaar Hain
Jo Mere Tere Shahar Kii Har Ik Galii Mein
Mere Tere Naqsh-E-Paaa Ke Be-Nishaan Mazaar Hain
Jo Merii Terii Raat Ke Sitaare Zakhm Zakhm Hain
Jo Merii Terii Subah Ke Gulaab Chaak Chaak Hain
Ye Zakhm Saare Be-Davaa Ye Chaak Saare Be-Rafuu
Kisii Pe Raakh Chaand Kii Kisii Pe Os Kaa Lahuu
Ye Hain Bhii Yaa Nahiin Bataa
Ye Hai Ki Mahaz Jaal Hai
Mere Tumhaare Ankabuut-E-Vaham Kaa Bunaa Huaa
Jo Hai To Is Kaa Kyaa Karen
Nahiin Hai To Bhii Kyaa Karen
Bataa, Bataa, Bataa, Bataa