Meri Zindagi Ki Khushi Hai Tumharay Dam Se
Magar Ho Rahee Hai Basar Tumharay Gham Se
Husn-E-Be Daag Se Kon Karay Faryaad
Unki Pashemaani Bhi Na Sahee Jaye Hum Se
Iss Gham-E-Jaanaa Ko Dil Hi Mein Rehnay Do
Ek Bar Bahay To Thamain Naa Aansoo Gham Se
Yeh Duniyaa Khaali Khaali Se Kyoun Lagnay Lagi
Dekha Jo Tu Ne Apni Nigah-E-Barhamm Se
Meray Baad Kon Likhay Ga Tumhari Shaan Mein
Tumharay Charchay Bhi To Hain Meray Hi Damm Se
Aaj Kal Har Doosra Hai Raqeeb Mera
Assar Barh Raha Hai Meri Ghazal Mein Teray Gham Se
Ab Bas Bhi Karo Matt Kaho Ghazal
Aa Na Jaye Qayamat Teray Deeda-E-Namm Se