Meri Zindagi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkaaraa
Teraa Gam Hai Dar-Haqiqat Mujhe Zindagi Se Pyaaraa
Vo Agar Buraa Na Maane To Jahaan-E-Rang-O-Bu Mein
Main Sukun-E-Dil Ki Khaatir Koi Dhundh Lun Sahaaraa
Ye Fulak Fulak Havaayen Ye Jhuki Jhuki Ghataayen
Vo Nazar Bhi Kyaa Nazar Hai Jo Samajh Na Le Ishaaraa
Mujhe Aa Gayaa Yaqin Saa Yahi Hai Meri Manzil
Sar-E-Rah Jab Kisi Ne Mujhe Daffa’atan Pukaaraa
Main Bataaun Farq Naasih, Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein
Meri Zindagi Talaatum, Teri Zindagi Kinaaraa
Mujhe Guftagu Se Badakar Gam-E-Izn-E-Guftagu Hai
Wahi Baat Puchhte Hain Jo Na Kah Sakun Dobaaraa
Koi Aye ‘Shakeel’ Dekhe, Ye Junun Nahin To Kyaa Hai
Ke Usi Ke Ho Gaye Ham Jo Na Ho Sakaa Hamaaraa