Meri Zindagi Aankhon Se Behte Ashkon Ke Naam Hai
Kyu Jeene Ki Koshish Mein Hun Jab Maksad Mera Benaam Hai
Meri Zindagi Aankhon Se Behte Ashkon Ke Naam Hai
Apne Jo Hai Kab Tak Hai Apne
Sapne Jo Hai Kab Tak Hai Apne, Tut Jaana Inka Kaam Hai
Hazaron Mit Te Hai Bankar Yaha, Chiraag Jalte Hai Bujte Yaha
Log Jeete Hai Marte Yaha Apni Manzil Paana Kaha Aasaan Hai
Meri Zindagi Aankhon Se Behte Ashkon Ke Naam Hai
Roshani Hai Har Ik Ghar Mein To Andhera Bhi Saath Rehta Hai
Ik Umeed Pe To Sara Jahaan Tikka Rehta Hai
Woh Umeed Beshak Tere Aane Ki Na Ho
Tera Intezaar To Palkon Pe Sajaa Rehta Hai
Dil Bhi Hai Dhadkan Bhi Hai Saans Lete Yaha,
Aise Bhi Makaan Hai Meri Zindagi Aankhon Se Behte
Ashkon Ke Naam Hai Tujhko Khuda Kehne Waale Aaj Khuda Ko Bhool Gae
Apni Apni Sochte Hai, Anjaam Aakhir Kyu Bhool Gae
‘Saakib’ Koi To Inko Samjhae Lahu Apno Ka Bahana
Kaisa Yeh Insaan Haimeri Zindagi Aankhon Se Behte Askhon Ke Naam Hai