Meri Yaadon Ke Galiyaare Ne Mujhe Kis Jagah Pahuncha Diya
Jo Thuma Tha Ek Umr Se Use Aankh Se Chhalka Diya
Teri Jindgi Kee Kitab Se Mujhe Jaane Kisne Mita Diya
Meri Rooh Kisne Ni Dee, Mere Dil Ko Kisne Bhuja Diya

Jise Bhoolne Mai Maine Apni Aadhi Umr Guzar Dee
Usi Ek Shaks Kee Dastaan Koi Yaad Fir Se Dila Gaya
Mere Dil Ka Ek Wo Aaina Jise Maine Ulat Ke Tha Rakh Diya
Usi Aaine Ko Dikjha Diya , Mere Aks Ko Kyon Jala Diya
Karun Kis Khuda Se Shikayaten, Karun Kya Sawaal Mai Aapse
Ye Naseeb Tha Ya Majak Tha Kyon Tumne Mujhko Bhula Diya
Kisi Raste Ke Pathar Sa Mujhe Raste Se Huta Diya
Mere Doston Ne Wafaaon Ka Kuchh Is Kadar Se Sila Diya
Ai -Ë—anish-‘ Tumne Ye Daastan In Khandharon Mai Sunai Kyon
Mujhe Gum Hai Mere Fasaane Ne In Patharon Ko Rula Diya