Meri Tanhai Mere Saath Hansti Hai
Aur Khamooshi Chupke Chupke Batain Kerti Hai
Jab Se Tumne In Sakhiyoon Se Milwaya Hai
Yeh Zindagee Badi Aasani Se Guzra Kerti Hai
Tumhara Woh Zoom‚  Woh Anaa Parasti
Aaj Bhi Mere Humsafer Hain
Tumhare Woh Albele Andaaz
Woh Paich-O-Kham‚  Woh Ithlaate Qadam
Aaj Bhi Zindagee Ka Saaz Hain
Tumhari Berukhi Mein Chupi Khamoosh Muhabbat
Tumhari Be Aaitnaee Mein Jhalakti Woh Bekali (Nazer Andaaz Kerne Ka Andaaz)
Mujhe Khud Se Door Nahin Jane Deti
Tumhari Jafaun Mein Chalakti Chahat
Tumhain Bhulaane Bhi Nahin Deti
Kal Tumhari Neemwa Aankhon Ne (Adh Kuli Aankh)
Apni Is Dastaan Ko Fazaaun Mein
Baazgasht Kerne Ko Aam Ker Diya Tha
Keh Tum Hi Nahin Main Bhi Tanha Hun
Main Bhi Khamooshi Mein
Chupke Chupke Kisi Se Batain Kerti Hun
Kash Tum
Meri Majboori Aur Dard Ko Samajh Sakte
Meri Jafaun Mein Wafaaun Ko Dhood Sakte
Aai Jane Jaan
Tumne Sach Hi Kaha Hai
Isi Liye Aaj Tak
Meri Tanhayee Mere Sath Hansti Hai
Aur Khamooshi Chpuke Chupke Batain Kerti Hai