Meri Poojhi Hai Yeh Lafz Yehi Thode Se Lafz
Mufat Ka Maal Samjh Kar Mein Lutata Raha
Is Daolat-E-Bepanya Ko
Jis Tassbwur Ke Liye,Ek Hi Lafz Bahut Tha
Usse Saoo Lafz Diye
Mein Ek Akleem-E-Sukhan Ka,Koi Aawara Sa Shahjada Tha
Mujh Ko Ye Fhikar Na Thi Mujh Ko Ye Maloom Na Tha
Lafz Bhi Ghiste Hai,Mitte Hai,Bhikhar Jate Hai
Lafz Beemaar Bhi Padte Hai Aur Ik Roz Hamari Hi Tarah
Lafz Bhi Mar Jate Hai Mujh Ko Maloom Na Tha
Ki Har Ik Lafz Ko Sadiyo Ne Sawara Hoga
Ye Jo Aaye Hai,To Kitno Ne Pukara Hoga
Mein Lutata Raha Is Daolat-E-Bepanya Ko
Aur Ab Jabki Jamane Ko Batane Ke Liye
Mere Dil Mein Kai Kisse,Kai Baate Hai
Dekhta Hoon To Mere Pass Koi Lafz Nahin Hai