Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Zindgi Ke Seene Mein Gadaa Gumon Ka Khanzar Paaoge
Bo Dijiyega ,Yahaan Jitney Bhee Beej Ilm Ki Fasal Ke Liye
Her Ek Shaks Ke Kirdaar Ko Tehzeeb Se Banjar Paaoge
Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Ilm—Knowladhe
Meri Baaton Per Yakeen Na Ho To Cheer Ker Dekh Lena
Insaano Ke Seene Mein Dil Ki Jagah Pe Pather Paaoge
Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Baad Marne Ke Suna Hai, Dojak Or Jannat Ka Safar Hai
Tum Jonsa Bhee Jahaan Paaoge Isse Behtar Paaoge
Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Dojak—Hell
Ruh Ke Bandhan Ki Talaash Mein Zindgi Guzar Jaayegi
Kehne Ko To Jeete Jee Bahut Se Humbistar Paaoge
Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Marr Gaya Karan To Ranj Nahi ,Wo Gaya Hai To Or Aayenge
Aashiqe To Paaoge Bahut Per Sab Mujhse Kamtar Paaoge
Meri Nazron Se Dekhoge To Ek Ajeeb Sa Manzar Paaoge
Zindgi Ke Seene Mein Gadaa Gumon Ka Khanjar Paaoge