Meri Khatir Zamane Ke Zulm‚  Saha Karti Hai,
Maa Meri Kitna Pyaar Karti Hai,
Mein Agar Uska Dil Bhi Todun To,
Phir Bhi Hans Hans Ke Saha Karti Hai,
Wo Nmaazoon Mein Or Sajdon Mein,
Mere Liye Sirf‚  Duwayei Karti Hai,
Kesi Mamta Kesa Pyar Hai Ye,
Wo Mujhi Paar Sirf‚  Marti Hai,
Maa Ke Jesa Koi Jahaan Mein Nahi,
Pyar Yuska Anmool‚  Jo Karti Hai,
Sab Ki Maaye Aessa Hi Karti Hai,
Apni Awlaad‚  Pe Sirf‚  Marti Hai,
Apni Owlaad Ki Khatir Har Maa,
Zulm Hans Hans Ke Saha Karti Hai,
Pet Bharti Hai Wo Bachcho Ka Sadaan,
Bhuki Rehkar Bhi‚  Hansaa Karti Hai,
Bachchon Ke Liye Wo Sab Ye Karti Hai,
Maa Meri‚  Kitna Pyaar Karti Hai,
Maa Ka Duniya Mein Koi Mool Nahi,
Uske Jesaa Koi‚  Anmool Nahi,
Qurbani Beshumaar Karti Hai,
Apne Bachcho Pe Sadaa Marti Hai.

By Hameeda Ameer