Meri Hasraton Ne Muh Dekha Hii Nahin *Taabeer Kaa
Naa De Kuchh Bhii Magar Hausla Tau De Kisi *Tadbeer Kaa
Chaahte Rehna Us Dilbar Ko Raha Kaam *Juu-E-Sheer Kaa
Karta Raha Tez Mujhpe *Talkh-Kalaam Apni *Shamsheer Kaa
Usne Kya Daali Nazar Kii Hum Huye Thhe Be-Khabar
Jaane Kab Dil Pe Kar Gaya Wo Vaar Apne Teer Kaa
Jisne Lubhaya Usko Lubhaane Ki Jurrat Jo Ki Humne
Dil Khol Ke Kar Diya Ailaan Usne Sakht Meri *Taazeer Kaa
Jise Na Yaad Aaye Hum, Use Naa Bhuul Paye Hum
Haaye Kyun Dikhaye Aaina Bhi Aks Uski Tasveer Kaa
Uska Paas Aana Yoon, Hamein Phir Luut Jaana Yoon
Aur Takte Reh Jana Hamara Yoon Raasta *Dilgeer Kaa
Motiyon Se Raushan Rahein Tere Dar-O-Baam-O-Aangan
Rehne Do Meri Palakon Pe Saja Yeh Ashq Meri Jaageer Kaa
Hai Taqaaza Ishq Ka Wo Lab Sada Muskaate Rahein
Ki Inse Junuun *Taari Hai Mujhpe Shokhi-E-*Tehreer Kaa
Khuun-E-Jigar Se Likh Jaaon Main Apne Sheron Mein Use
Mere Khuda De De Mujhe Dil Ghalib Ka, Zehen Meer Kaa
Ab Tuu *Kazaa Ruki Hai Kyun Aa Gale Lag Jaa Zara
Nahin Raha Kuch Bhi Asar -Ë—paras-‘ Kii Aah Kii *Taaseer Kaa