Meri Duniya Mein Khamoshi Ka Sakoon Tari Tha
Meray Etraaf Mein Chahat Ka Fasoon Tari Tha
Mein Sabak Gaam Tha Ulfat Ki Haseen Manzil Ko
Koi Dharka He Na Tha Meray Niralay Dil Ko
Sari Duniya Sey Juda Hokay Chala Jata Tha
Apni Chahat Mein Fana Hokay Chala Jata Tha
Apni Etraaf Ki Dunya Sey Mein Begana Tha
Teri Awaaz Kay Har Saaz Sey Anjana Tha
Phir Achanak Teri Awaaz Nay Toka Mujh Ko
Dey Kay Ulfat Ka Eshara Waheen Roka Mujh Ko
Mein Nay Herani Sey Socha Ye Sada Kiss Ki Hai
Meri Herani Ko Toray Ye Ada Kiss Ki Hai
Phir Teray Piyaar Sey Labrez Tabasum Dekha
Teri Batoon Mein Mohabbat Ka Taranum Dekha
Teri Ankhoon Main Meri Piyaar Ki Tasveer Bani
Zulf Teri Meray Ehsaas Ki Zanjeer Bani
Aur Jab Tu Meray Nazdeek Thee Aati Jatii
Meray Ehsaas Main Halchal Thee Machati Jatii
Mein Nay Tujh Sey Tha Kaha Mujh Ko Na Chahoo Jana
Khaar Hain Raah Mein Tum Saath Na Aaoo Jana
Meri Ulfat Mein Tashadud Bhi Ajab Hai Manoo
Meri Chahat Mein Taradud Hai Ghazab Hai Manoo
Tum Meray Saath Na Rahoon Mein Na Ghaseet Paoo Ga
Gir Paroo Ga Kaheen Thokar Sey Ulat Jaoo Ga
Choor Do Gee Mera Daman Bhi Jahan Kay Dar Sey
Ghar Banaoo Gee Na Gulshan Mein Khizaan Kay Dar Sey
Tum Nay Ye Sun Kay Kaha Tu Too Hai Chahat Meri
Mujh Ko Lay Chal Kay Teray Saath Hai Ulfat Meri
Tujh Ko Chaha Hai Meri Jaan Na Janay Kab Sey
Tujh Ko Manga Hai Meri Jaan Khuda Sey Rab Sey
Mein Ehsaas Delaya Tha Tujhay Meray Sanam
Saath Chalta Hai Meri Raah Mein Mera Humdam
Tu Meray Saath Usay Kaisey Dekh Paye Geee
Teray Dil Mein Woh Meray Saath Kiun Samaye Gee
Yaad Kar Tu Nay Kaha Tha Mujhay Inqaar Nahi
Saath Us Ka Too Meri Raah Mein Dewaar Nahi
Apnay Baray Mein Har Ek Raaz Bataya Mein Nay
Apni Tasveer Ko Har Rukh Sey Dekhaya Mein Nay
Aur Phir Tu Meri Humdam Meri Humraaz Banii
Saaz Tha Mein Too Meri Jaan Tu Awaaz Bani
Hum Kay Chal Niklay Thay Ulfat Ka Haseen Rahoon Mein
Cheen Milta Tha Tujhay Aakay Meri Bahoon Main
Meri Yadoon Sey Teri Neend Bhi Ur Jati Theee
Neend Aati Too Meray Khowaab Mein Kho Jati
Mujh Ko Ghumgeen Jo Dekhay Too Tera Dil Rota Tha
Chout Lagti Thee Mujhay Dard Tujhay Hota Tha
Mri Har Baat Bhalii Tujh Ko Laga Karti Theee
Tu Mera Piyaar Hai Tu He Too Kaha Karti Thee
Phir Chanakay Sey Woh Khowaab Haseen Toot Gaye
Rung Hatoon Sey Teray Piyaar Kay Sub Chout Gaye
Aab Terii Aankh Mein Woh Piyaar Ki Tasveer Nahi
Aab Teri Zulf Meray Paoon Ki Zanjeer Nahi
Aab Meray Naam Sey Tera Dil Dharakta He Nahi
Aks Mera Teri Sochoon Mein Ubharta He Nahi
Tujh Ko Ehsaas Nahi Meri Mohabbat Kia Hai
Meri Dharkan Hai Kahan Qulb Ki Ha