Meri Chokhat Taley Kafn-E-Aarzoo Aya
Jafa-E-Yaar Ki Khabar Jab Ley Key Tu Aya
Kya Poochein Unsey Is Behissi Ka Sabab
Key Nigahon Mein Unki Ek Naa Aansoo Aaya

Pehley Yeh Ranjishein Bas Is Dil Pe Asar Daar Thiin
Is Baar Jo Ghum Aya, To Chaar Su Aya
Is Daur Sey Guzarna Aasaan Nahi Hai Doston
Har Lamha Humari Wafa Ka Sila Hoo Bahu Aya
Ay Dost Teri Adaon Key Marey Howey Hain Hum
Key Has Diya Dil Jab Bhi Tu Humarey Rubaru Aaya
Ek Hujoom Sa Chaa Gaya Mehfil-E-Tanhai Mein
Ashk Ban Key Nigaahon Mein Jab Lahoo Aya
Meri Chokhat Taley Kafn-E-Aarzoo Aya