Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Mkaano Ki Duniya
Ye Dhokhe, Mohabbat, Wafaaen Or Nafrat
Ye Be-Rang, Jhuthe Bahaano Ki Duniya-‘
Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Mkaano Ki Duniya,
Ye Budhe , Bacche Jwaano Ki Duniya
Dharm Ki Unchi Dukaano Ki Duniya
Nahi Meri Manzil Nahi Thee Kabhee Ye
Ye Apno Se Dikhte Begaano Ki Duniya,
Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Mkaano Ki Duniya
Kuch Aise Hi To Hai Insaano Ki Duniya
Hai Kuch Be-Sure Se Taraano Ki Duniya
Laaptaa Manzilen- Laaptaa Raaste
Ye Pal Pal Bikharte Armaano Ki Duniya
Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Mkaano Ki Duniya
Mai Leta To Kaise, Ehsaano Ki Duniya
Mukeemo Ki Duniya Mukaamo Ki Duniya
Badi Be- Dard Or Badi Be- Huda Hai
Ye Maalik Ki Duniya Gulaamo Ki Duniya
Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Mkaano Ki Duniya
Mujhe Chaahiye Aasmaano Ki Duniya
Shitiz Per Bane Aashiyaano Ki Duniya
Wo Manzil Hai Meri, Safar-E-Karan Hai
Kitaabo Me Likhi Daastaano Si Duniya
Meri Chaahat Nahi Ye Afsaano Ki Duniya
Ye Pal Pal Ujadte Makaano Ki Duniya,