Meri Aarzu Ko Bahar Do
Mujhe Koi Gumguzaar Do (Gumguzaar-–dard Baant-Ne Wala)
Meri Jist Hai Khanabadosh‚  (Jist- Zindgi)
Mujhe Manzilon Ki Pukaar Do
Meri Aarzu Ko Bahaar Do
Main To Jaan_valab Ishq Se Abhee‚  (Jaan_valab-Dead)
Mujhe Zindgi Ki Talab Abhee,
Mera Wajud Chaand Se Cum Nahi
Mujhe Chandni Ka Khumaar Do‚  (Khumaar-Nasha)
Meri Aarzu Ko Bahaar Do
Mere Charagar Ko Pata Nahi‚  (Charagar-Healer,Doctor)
Mere Gum Ki Koi Dawa Nahi
Mujhe Gum Ki Mausiki Chahiye
Mujhe Gum Ka Koi Bazaar Do
Meri Aarzu Ko Bahaar Do
Vafa Ke Badle Wafa Mile
Mujhe Aisa Sauda Kaha Mile
Dil Ke Badle Jo Dil Le Le
Mujhe Aisa Khareedar Do
Meri Aarzu Ko Bahaar Do
Ye Hai Shayri,Na Ki Dillagi
Issi Shayri Se Hai Zindgi
Mujhe Likhne Wale Ka Ilm Do‚  (Ilm–Knowladge)
Padhne Waale Ka Pyaar Do
Meri Aarzu Ko Bahaar Do
Karan-‘ Lafz Hain Tera Aaina
Khud Ko Aaine Me Utaar Do
Tumhe Ishq Talash Kerta Hai
Khud Ko Aaine Mein Sawaar Lo
Meri Aarzu Ko Bahaar Do