Meree In Ankhon Ne Kitne Nazuk Sapne Dekhe Hain
Sarhad Ke Is Par Hoon Main Us Par Bhee Apne Dekhe Hain
Na Koyee Dard Hai Tujhko Na Koyee Ab Dil Main Gam Hai
Too Bhee Hairan See Soch Rahee Hai Ankh Bhala Phir Kyon Nam Hai
Tune Kuch Bhee Khoya Hai Na Tujh Se Kuch Bhee Tuta Hai
Ye Mera Apna Mazi Hai Jo Teree Ankhon Main Chhoota Hai
Ye Sare Udas Se Lamhe Meree Hee Kahanee Kahate Hain
Ye Sare Mere Ansun Hain Jo Teree Ankhon Se Bahate Hain
Sarhad Kee Lakeron Par Gir Kar Gulab Wahan Par Bo Denge
Ye Sagar Kee Laharen Ban Ke Kanton Kee Taron Ko Dho Denge
Mere Gum Ko Yun Hee Ab Tu Apnee Ankhon Se Bahne De
Sarhad Ke Is Par Ke Kisse Us Par Bhee Ab To Kahne De
Meree Ankhon Main Inko Kabhee Ab Kaise Main Rakh Payunga
Inse Mera Rishta To Hai Par Kaise Use Nibhayunga
Meree Ankhon Ne Jo Bhee Nazuk Sapne Dekhe Hain
Un Apno Ko Sompa Hai Gam Maine Jo Apne Dekhe Hain
Ankhon Main Sapne Bakee Hain Sapne Bheeg Kyon Jane Dun
Tu Na Rakhe Inko To Bhee Kaise Ankhon Main Ane Dun