Mere Yaar Mere Pyaar Pe Shaayad
Woh Pehle Saa Atbaar Nahi Kar Paatein,
Mein Jo Mut.Thibhar Aasmaan Chaahun To
Daaman Chhudane Pe, Aa Jaate Hain,
Mere Vujud Ke Sookhe Pat.Te Giraane Ke Liye
Woh Naadaan Meri Shaakhon Ko Hilaate Hain,
Per Aaksar Un Sookhe Huve Pat.Ton Ke Saath
Kuchh Maasoom-Anchhuve, Konpal Bhi Gir Jaate Hain,
Kuchh Ghataaein Amaawas Ki Tareh
Apni Shakshiyat Pe Chhaa Jaati Hai,
Isme Apni Kya Khata Hai Gar Suraj Ki Tarah
Ye Ghataaein Ham Cheer Nahi Paate Hain,
Beronak Is Jindgi Me Tumhare Phoolon Ne
Phir Bhi Kuchh To Mehka Rak.Kha Hai,
Mere Ghar Me Guldaan Nahi Ye Kehkar
Wo Apne Phoolon Ko Waapas Liye Jaate Hain,
Mumkin Hai Ke Is Taraf Se Tumko
Sab Ujla-Ujla Hi Nazar Aata Ho,
Is -Ë—chaand-‘ Ka Ek Syah Chehra Peechhe Bhi Hai
Shaayad Mere Dost, Use Dekh Nahi Paate Hain.
Apni Marzi Se Kahaan Apne Safar Ke Hum Hain,
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain,