Mere Sahir Teri Aankhein
Ye Kaisa Dard Rakhti Hai
Inhe Likhne Ki Chahat Mein
Meri Kalam Thaki Kitna
Inhe Padhneki Chahat Mein
Meri Aankhein Jali Kitna
Main Likh Likh Kar Teri Aankhein
Sunati Thi Jo Duniya Ko
Zamana Rukti Saanson Mein
Teri Aankhon Ko Sunta Tha
Zamane Doob Jaate The
Jo Tujhko Yaad Rakthe The
Wo Khudko Bhool Jaate The
Kisi Shab Ek Saat Mein
Teri Aankhon Se Soyi Thi
To Jitne Khwab Bhi Dekhe
Main Pehron Inpe Royi Thi
Teri Aankhon Se Takra Kar
To Sapne Toot Jate Hai
Mere Sahir Teri Aankhein
Ye Kaisa Dard Rakhti Hai
Ye Sapne Aur Bhi Lein To
Kisi Tabeer Ka Surat
Inhe Sone Nahi Deta
Kisi Shishe Se Manzar Par
Teri Aankhein Jo Uth Jayein
Wo Shisha Zard Ho Jaye
Misaal-E-Dard Ho Jaye
Teri Aankhon Ki Mehroomi
Kisi Chehre Ki Dualat Se
Kyon Jane Kam Nahi Hoti
Ye Sadiyon Ka Safar Aur Hai
Larazti Narm Palkon Mein
Zamana Saaz Si Aankhein
Na Jane Kab Se Patthar Hai
Kyon Jane Nam Nahi Hoti
Ye Socha Tha Kabhi Maine
Yehi Kuch Maine Socha Tha
Ke Chahun To Faqat Ek Lams Dekar Hi
Inhe Phir Se Jaga Dalun
Main Is Gumsum Se Patthar Ko
Mehaz Chhu Kar Rula Dalun
Main In Aankho Mein Likha Dard
Mohabbat Se Mita Dalun
Magar Jab Roobaroo Paaya
Teri Aankhon Ko Meri Jaan
Teri Aankhein Meri Aankhon Mein
Jaise Jazb Hoti Thi
Main Khudko Bhul Baithi Thi
Mujhe Tum Yaad Rehte The
Teri Aankhon Ke Dukh Dariya
Meri Aankhon Se Behte The
Meri Aankhein Bhi Ab Bilkul
Teri Aankhon Si Lagti Hai
Wohi Hasrat Wohi Wehshat
Wohi Chup Chaap Patthar Si
Ke Jiss Manzar Pe Uth Jayein
Aseer-E-Dard Kar Jayein
Main Jab Se Soch Mein Gum Hoon
Mujhe Kuch Tu Hi Samjha De
Mere Sahir Teri Aankhein
Ye Kaisa Dard Rakhti Hai