Mere Liye Namumkin Hai Par Tum Bhi Nahi Kar Paao Ge
Hum Judaa Ho Jayein Ge To Dil Ko Kya Samjhaao Ge
Khushi Ka Yeh Mauqa Ke Tum Manzil Ko Paa Rahe Ho
Par Yeh Gham Zaroor Hai Ke Mujh Se Door Jaa Rahe Ho
Dekho Jaate Jaate Tum Meri Simt Na Dekhna
Aur Na Hi Koi Khayaal Mera Apne Dil Mein Uss Pal Rakhna
Warna Tum Bhi Ro Do Ge Aur Mujh Ko Bhi Rulaao Ge
Hum Judaa Ho Jayein Ge Tau Dil Ko Kya Samjhaao Ge
Jo Pal Sath Bitaaye Woh Yaad Yaqeenan Aayein Ge
Kabhi Karein Ge Namm Naina, Aur Kabhi Hansayein Ge
Jab Yaad Meri Aaye Gi Tau Tum Chaand Ko Dekha Karna
Meri Nazar Hai Waheen Kehin Bas Yeh Socha Karna
Koi Bhi Halaat Hon Aise Mein Tum Muskuraao Ge
Hum Judaa Ho Jayein Ge Tau Tum Dil Ko Kya Samjhaao Ge