Mere Labo Ko Apni Dharkno Ki Zuba Dedo
Umar Bhar Saath Nibhane Ka Wada Dedo
Aa Jao Chupke Se Mere Man Mandir Main,
Is Veeran Khandhar Ko Bhe Koi Khuda Dedo
Yu Na Jao Berukhi Se Daman Chhura Ke,
Do Ghari Haal-E-Dil Sunane Ka Mokka Dedo
Shyad Jate Jate Sakun Maysar Ho Jaye,
Sirf Halka Sa Mere Zanaze Ko Kandha Dedo
Sab Se Chhup Kar Do Ghari Ashak Baha Lu,
Kabhi To Apne Reshmi Aanchal Ka Parda Dedo
Ro Ro Kar Kahin Sard Na Par Jaye Aankhain,
Meri Aankho Ko Bhe Koi Khaab Sulagta Dedo
Zamana Jispe Koi Bhe Tohmat Na Laga Sake,
Mujhe Ganga Jaisa Pawan Koi Rishta Dedo
Jis Par Asar Na Ho Kisi Bhee Mausam Ka,
‘Veer’ Ko Koi Aisa Kanto Bhara Guldasta Dedo.