Mere Khwabon Ko, Kisi Ka Intezar Aaj Bhi Hai
Jo Apna Tha Hi Nahi, Usse Pyar Aaj Bhi Hai
Ek Ek Zakhm Tera, Jo Ab Na Bhula Paoonga
Tere Zakhmon Ke Marham Ka, Talabgar Aaj Bhi Ha

Jub Kabhi Tere Baad, Qadmon Ne Sambhalna Chaha
Teri Yadon Ki Zangeeren, Qadmon Se Lipti Aaj Bhi Hain
Too Hi Bata Duniya Nayi, Apni Main Basaoon Kaise
Jub Teri Tamannaon Ke, Ghumkhwar Yahan Aaj Bhi Hain
Teri Nazron Mein To Bus, Ek Chota Sa Chaman Ujda Hai
Palat Kar Dekh To, Is Dil Mein Khinzan Aaj Bhi Hai
Tujhe Main Apna Qatil, Kahoon Bhi To Kaise Kahoon
Mere Bejaan Se Is Jism Me, Todhi Si Jaan Aaj Bhi Hai
Tune To Mere Naam Se, Apne Naam Ko Mita Daala
Per Tere Naam Ka Alfaz, Sama Me Jawan Aaj Bhi Hai
Bus Tere Naam Lene Pe, Hazaar Baar Marta Tha
Yaqeen Na Ho To Leke Dekh, Tujhpe Jaan Nisaar Aaj Bhi Hai
Yaqeen Nahi Hai Magar, Aaj Bhi Yeh Lagta Hai
Meri Talash Me Shayad, Woh Pyar Aaj Bhi Hai
Woh Pyar Jiske Liye, “Damal” Ne Chod Di Duniya
Wafa Ki Rah Me Ghayal, Yeh Rooh Aaj Bhi Hai
Ek Baar Phir Thode Alfazon Ko Samet Kar Kuch Kehna Chaha
Hai, Aur Shayad Kuch Keh Paaya Hoon….
Aage Bhi Yeh Koshish Jaari Rahegi.