Mere Khawaboon Kii Duniya Kitni Maasoom Kitni Haseen
Lagti Thi Mujhe Yei Duniyaa Ab Tak Na Jaane Kitni Rangeen
Ek Din To Hakeekat Kei Patharoin Se Inko Takraanaa Hii Thaa
Mere Sab Khawaboon Ko Toot Kar Bikhar Jaanaa Tha
Mere In Khwaboin Mein Shaamil Thii Bachapan Ki Maasoomiyat
Jawaani Kaa Pyar Aur Donoin Kaa Alhadpan.Lekin
Hakeekat Mein Bachapan Ki Maasoomiyat, Jawaani Kaa Pyaar
Aur Dono Kaa Alhadpan Khwaab Ke Saath Hi Bikhar Gyaa
Mere Saare Khwaaboin Kaa Roop Ek Dam Bigad Gyaa
Mere Khawaaboin Kaa Mahal Hakeekat Mein Saara Ujad Gyaa
Kaash-Â…koi Aake In Khawaaboin Ko Tootne Se Bachaaye Rakhataa
Mujhe Hakeekat Mein Jagaa Kar In Khwaaboin Ko Sajaaye Rakhtaa
Mere Saare Khwaab Yun Toot Kar Bikhar Naa Jaate
Yei Khawaab Saare Mere Hakeekat Mein Bhi Sawar Jaate.